is se pahle ki be-wafa ho jaen kyun na ai dost hum juda ho jaen tu bhi hire se ban gaya patthar hum bhi kal jaane kya se kya ho jaen tu ki yakta tha be-shumar hua hum bhi tuten to ja-ba-ja ho jaen hum bhi majburiyon ka uzr karen phir kahin aur mubtala ho jaen hum agar manzilen na ban pae manzilon tak ka rasta ho jaen der se soch mein hain parwane rakh ho jaen ya hawa ho jaen ishq bhi khel hai nasibon ka khak ho jaen kimiya ho jaen ab ke gar tu mile to hum tujh se aise lipten teri qaba ho jaen bandagi hum ne chhod di hai 'faraaz' kya karen log jab khuda ho jaen