sine hain chaak aur gareban sile hue tufan hain sath-e-ab ke niche chhupe hue ek umr-e-mukhtasar bhi guzari nahin gai sadiyan agarche guzri hain dukh jhelte hue ranj-e-shikasta-pai hai ek zad-e-rah-e-shauq aur umr hone aai hai ghar se chale hue kab faiz pa saka koi shakh-e-burida se kuchh phul shakh par hain abhi tak lage hue bhule the sang-ha-e-malamat ko hum magar kuchh zakhm is bahaar mein phir se hare hue wa kar diye hain bakhiye ne lakhon dahan-e-zakhm baithe hain jab se apne labon ko siye hue ishqi tu puchh kaise chhuta karwan ka sath mud mud ke log guzre hamein dekhe hue