udas sham mein pazhmurda baad ban ke na aa jo aa sake to khud aa apni yaad ban ke na aa kabhi sahar bhi to ban ai visal ke mausam sada yun hi shab-e-marg-e-murad ban ke na aa tujhe tere mah o anjum ka wasta ai raat mere in ujle daron par sawad ban ke na aa kitab-e-zist khuda-ra koi ghazal bhi suna shikast-e-jaan ki faqat ruedad ban ke na aa bhali lage to ise gunguna bhi ai lab-e-yar meri ghazal pe faqat harf-e-dad ban ke na aa utar zarur magar aah subh-e-azadi kisi zamin pe wajh-e-fasad ban ke na aa