jab khud tadap ke wo meri bahon mein aa gae sab walwale simat ke nigahon mein aa gae badhti gain zamane ki jab sard-mehriyan dil khinch ke khud ghamon ki panahon mein aa gae dil phunk raha hai sine mein din-raat ai khuda shoale kahan se ye meri aahon mein aa gae jitni bhi shiknen padti gain farq-e-naz par itne hi kham niyaz ki rahon mein aa gae kuchh sujhta nahin hai mujhe ab siwae gham jab se ki aap meri nigahon mein aa gae 'sahir' sawab mein ho kashish kis liye ki jab sare maze simat ke gunahon mein aa gae