jalwa karam ka us ne dikhaya nahin hanuz zarre ko aaftab banaya nahin hanuz jo chahe dekh le tujhe meri nigah se main ne tujhe kisi se chhupaya nahin hanuz mana ki iltifat fuzun-tar hai aap ka dil ne magar ghamon ko bhulaya nahin hanuz uljha hua hun aaj bhi tere khayal se daman ko khar-e-gham se chhudaya nahin hanuz mit kar bhi dil ko lutf-o-karam ki hai aarzu goya sila wafaon ka paya nahin hanuz wo jis pe aabru-e-wafa ka madar hai wo ashk-e-shauq main ne bahaya nahin hanuz be-dagh aaj bhi hai jabin-e-niyaz-e-ishq sar ko kahin pe main ne jhukaya nahin hanuz jis par hai inhisar meri maut-o-zist ka main ne wo raaz tum ko bataya nahin hanuz 'sahir' kisi se milne ki hasrat ho kis liye main ne khud apne aap ko paya nahin hanuz