aate aate mera nam sa rah gaya us ke honton pe kuchh kanpta rah gaya raat mujrim thi daman bacha le gai din gawahon ki saf mein khada rah gaya wo mere samne hi gaya aur main raste ki tarah dekhta rah gaya jhut wale kahin se kahin badh gae aur main tha ki sach bolta rah gaya aandhiyon ke irade to achchhe na the ye diya kaise jalta hua rah gaya us ko kandhon pe le ja rahe hain 'wasim' aur wo jine ka haq mangta rah gaya