jahan hai maktab-e-hasti sabaq hai chup rahna bada gunah yahan hai alif se be kahna shab-e-firaq mein sae se dar ke kahta hun aji ye raat darani hai jagte rahna chaman mein phul khile bagh mein bahaar aai urus-e-dahr ne goya pahan liya gahna hamari aah-o-baka se hai jism-e-shauq qawi ye hath bayan hai apna wo hath hai dahna fughan-e-bulbul-e-shaida na jaaniye is ko baja raha hai koi sehn-e-bagh mein shahna gham-e-firaq mein ai aasman nahin mauquf wo jo suhaen mujhe mujh ko har tarah sahna nikal de ki hai aise mein ju-e-ashk-e-rawan bura hai baat ka ai chashm-e-dil mein le rahna gali mein yar ki ho ya kisi kharabe mein hamein to hashr ke din tak kahin pe mar rahna asar bhi 'shad' ke sheron mein hai matanat bhi ye kohna-mashq hain in ki ghazal ka kya kahna