jab koi kali sehn-e-gulistan mein khili hai shabnam meri aankhon mein wahin tair gai hai jis ki sar-e-aflak badi dhum machi hai aashufta-sari hai meri aashufta-sari hai apni to ujalon ko tarasti hain nigahen suraj kahan nikla hai kahan subh hui hai bichhdi hui rahon se jo guzre hain kabhi hum har gam pe khoi hui ek yaad mili hai ek umr sunaen to hikayat na ho puri do roz mein hum par jo yahan bit gai hai hansne pe na majbur karo log hansenge haalat ki tafsir to chehre pe likhi hai mil jaen kahin wo bhi to un ko bhi sunaen 'jalib' ye ghazal jin ke liye hum ne kahi hai