junun ki fasl aai badh gai tauqir patthar ki sar-e-shorida khud karne laga tadbir patthar ki ye mushkil kis tarah hal ho nahin shamshir patthar ki dil-e-sayyaad patthar gardan-e-nakhchir patthar ki bina aaina chamki kis qadar taqdir patthar ki tumhaare ru-ba-ru aaya zahe tauqir patthar ki hamare josh-e-wahshat ne ye hum ko rang dikhlaya na kuchh taqsir ladkon ki na kuchh taqsir patthar ki nishan kuchh aap bhi kar den hua dafn aap ka majnun pae tarikh rehlat kijiye tadbir patthar ki ragon mein meri peshani ki josh-e-khun hua paida hikayat likh chuka jab katib-e-taqdir patthar ki jo tu samjhe to mere tere dil ki ek surat hai ye hai taswir mitti ki wo hai taswir patthar ki na jis mein lafz-o-mani hon kalam us ko nahin kahte chatakna pattharon ka kab hui taqrir patthar ki tera sauda jahan par tha rasai ho gai wan tak pada sar par hamare lad gai taqdir patthar ki lagaya sang apne hath se tu ne mere sar par khusha taqdir meri aur zahe taqdir patthar ki qasam logo adab se aankh utha ke main ne dekha ho tumhaare dar mein lohe ki hai ya zanjir patthar ki dil-e-sakht ai 'rashid'-e-zar apna hai garan hum ko baja hai kis tarah bhaari na ho taswir patthar ki