jo maut hai zindagi ke pichhe to maut ke pichhe zindagi kyon ghami ke pichhe bhi gar khushi hai khushi ke pichhe hai phir ghami kyon ye nafraten ye kuduraten kyon hain aage sirat se suraten kyon yahan hain maujud ab bhi insan phir aadamiyat ki bandagi kyon ye uljhanen kyon ye dard-o-gham kyon ye mushkilen kyon ye thokaren kyon mili to hain be-shumar chizen phir in ke badle bas ek khushi kyon ye bhi samajhne se hun main qasir ki aadmi kyon hua hai bartar koi batae ki aadmi se yahan har ek shai hai qimti kyon bas ek hi shama jal rahi thi hua tha sara chaman ye raushan hain jal rahi ab hazar shamen chaman mein hai phir bhi tirgi kyon har ek hasrat ye jaanta hai milegi mushkil ke baad rahat to baad mushkil ke barha yan pada hai mushkil mein aadmi kyon