lamha lamha ek nai sai-e-baqa karti hui kat rahi hai zindagi khud ko fana karti hui teri chup hai ya mere andar macha kohram hai koi shai to hai zaban ko be-nawa karti hui apne andar reza reza tut kar bikhra hun main hai ye kya shai chor dil ka aaina karti hui kisht-e-jaan se din ko katti hai nae zakhmon ki fasl raat aati hai inhen phir se hara karti hui mere hone se na hone ka sabab paida hua mujh ko hasti hi thi khud mujh se juda karti hui maut to 'azad' hai aazadiyon ka ek jahan zindagi hai har nafas khud ko riha karti hui