jahan kuchh dard ka mazkur hoga hamara sher bhi mashhur hoga jahan mein husn par do din ke ai gul koi tujh sa bhi kam maghrur hoga padenge yun hi sang-e-tafraqa gar to ek din shisha-e-dil chur hoga mujhe kal khak-afshan dekh bola yahi ushshaq ka dastur hoga hua hun marg ke nazdik gham se khuda jaane ye kis din dur hoga wahi samjhega mere zakhm-e-dil ko jigar par jis ke ek nasur hoga hamein paimana tab ye dega saqi ki jam-e-umr jab mamur hoga jo yun gham nish-zan har dam rahega to phir dil khana-e-zambur hoga yahi rona hai gar manzur 'jurat' to binai se tu mazur hoga