jab mere raste mein koi mai-kada pada ek bar apne gham ki taraf dekhna pada tark-e-talluqat ko ek lamha chahiye lekin tamam umr mujhe sochna pada ek tishna-lab ne chhin liya badh ke jam-e-mai saqi samajh raha tha sabhi ko gira-pada aae the puchhte hue maikhane ka pata saqi se lekin apna pata puchhna pada yun jagmaga raha hai mera naqsh-e-pa 'fana' jaise ho raste mein koi aaina pada