jab muqaddar hi mein hai tanhai se yari pagal

jab muqaddar hi mein hai tanhai se yari pagal
phir wahi shakhs hai kyun zehn pe tari pagal

raat bhar teri tamanna ke safar mein guzri
dur tak tirgi-e-rah pukari pagal

mujh ko rukne na diya meri junun-khezi ne
aql kahti hi rahi fikr se aari pagal

tujh ko har subh ke aaghaz pe socha main ne
mujh ko karti hi rahi meri khumari pagal

tu ne kaghaz pe kabhi naqsh banaya tha mera
kar gai mujh ko wahi naqsh-nigari pagal

jhum kar jab mere chehre pe wo lahrai thi
tum ne kis naz se wo zulf sanwari pagal

mera saya hi faqat sath mere chalta hai
apne sae se hi rakhti hun main yari pagal

us ne dil haar ke 'zaryab' mujhe jit liya
ishq ki rit hai duniya se niyari pagal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close