jab na jite-ji mere kaam aaegi kya ye duniya aaqibat bakhshaegi jab mile do dil mukhil phir kaun hai baith jao khud haya uth jaegi gar yahi hai is gulistan ki hawa shakh-e-gul ek roz jhonka khaegi dagh-e-sauda ek din dega bahaar fasl is gul ki shagufa laegi kuchh to hoga hijr mein anjam-e-kar be-qarari kuchh na kuchh thahraegi sandali rangon se mana dil mila dard sar ki kis ke mathe jaegi khaksaron se jo rakkhega ghubar o falak badli teri ho jaegi jab karega garmiyan wo shola-ru sham-e-mahfil dekh kar jal jaegi jaan nikal jaegi tan se ai 'nasim' gul ko bu-e-gul hawa batlaegi