mujh mein maujud hai jo chaak nahin khulta kuchh ye mera dida-e-namnak nahin khulta kuchh naqsh ubhrega koi ya ki nahin ubhrega kya hai poshida tah-e-khak nahin khulta kuchh ye to tai hai ki ab is dil ka ziyan lazim hai wo hai masum ki chaalak nahin khulta kuchh muntazir kaun se main aalam-e-asbab ka hun kya hai ab qismat-e-khashak nahin khulta kuchh kyun bhala us ki nishani nahin milti mujh ko kyun bhala ghurfa-e-idrak nahin khulta kuchh ab ye kya hai mere atraf nahin aata samajh aur ye matla-e-pechaak nahin khulta kuchh band kyun ashk na hon tab-e-rawan se ai 'tur' wo bhi to surat-e-aflak nahin khulta kuchh