ye koi dil to nahin hai ki thahar jaega waqt ek khwab-e-rawan hai so guzar jaega har guzarte hue lamhe se yahi khauf raha hasraton se mere daman ko ye bhar jaega dil shafaq-rang hua dubte suraj ki tarah raat aaegi to har khwab bikhar jaega shiddat-e-gham se mila zist ko mafhum naya hum samajhte the ki dil jine se bhar jaega chand lamhon ki rifaqat hi ghanimat hai ki phir chand lamhon mein ye shiraaza bikhar jaega apni yaadon ko sametenge bichhadne wale kise malum hai phir kaun kidhar jaega yaaden rah jaengi aur yaaden bhi aisi jin ka zahr aaankhon se rag-o-pai mein utar jaega