simab jal gaya to use gard boliye aashiq fana hua to use mard boliye sharbat kun khun-e-dil ke piyo zahr ka sa ghunt aisa tabib kan hai jise dard boliye hai kya kitab-e-matla-e-anwar rukh tera suraj kun jis ka yak warq-e-zard boliye jiyun bu hue hain mahw har yak rang-e-gul mein hum ai bulbulo sada-e-anal-ward boliye albatta howe matla-e-diwan aaftab tujh husn ki sifat mein agar fard boliye bazi hai jaan hijr hai haar aur visal jit gham hai bisat-e-dil kun mere nard boliye hai aag aashiqon ka dam-e-sard ai 'siraj' aur aag ki lapat kun dam-e-sard boliye