jab naqab-e-chehra-e-qatil khula tab dil-e-wabasta-e-bismil khula jab chadhaya dar par mansur ko tab muamma-e-haq-o-baatil khula jaane walon par adam ke kya bani kuchh na haal-e-sakhti-e-manzil khula meri khamoshi ka ek charcha hua band lab rakhne se raaz-e-dil khula hasrat-e-didar-e-qatil dekhna rah gaya hai dida-e-bismil khula zarf 'ali' dekh ai pir-e-mughan pi gaya khum aur na raaz-e-dil khula