wo kaun si hai ja tera jalwa jahan nahin

wo kaun si hai ja tera jalwa jahan nahin
kaba kalisa dair-o-haram mein kahan nahin

hum banda-e-talab hain hamara makan nahin
jis sarzamin ke hum hain wahan aasman nahin

mujrim to baat karte hain badh chadh ke har jagah
hoti hai be-qusur ke munh mein zaban nahin

jab bhi khuli zaban to nafi mein khuli teri
kya hai lughat-e-husn mein ye lafz han nahin

ya-rab ho khair hum pe wo itna khafa hai kyon
khain raqib ne to nai chughliyan nahin

rudad-e-hijr tum ko sunaun 'jalal' kya
tashrih ke liye mere munh mein zaban nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close