jab nazar uski aan paDti hai

jab nazar us ki aan padti hai
zindagi tab dhiyan padti hai

jhel lete hain aashiq ai farhad
jis ke sar jaisi aan padti hai

hai jafa se gharaz use itni
ki wafa imtihan padti hai

nazar un mah-wishan ki hai zalim
kya ghazab aan-ban padti hai

qadd-e-zahid nazar mein chille baad
utri si kuchh kaman padti hai

baat is dil ke dard ki yaro
guftugu mein nidan padti hai

ek ke munh se jis ghadi nikli
phir to sau ki zaban padti hai

lekin itna koi kahe mujh se
kabhu us ke bhi kan padti hai

be-sabaati zamane ki na-chaar
karni mujh ko bayan padti hai

garm-joshi-e-dostan ba-nazar
aatish-e-karwan padti hai

dil se puchha ye main ki ishq ki rah
kis taraf mehrban padti hai

kaha un ne ki ne ba-hindustan
ne su-e-asfhan padti hai

ye do-raha jo kufr o din ka hai
donon ke darmiyan padti hai

manzilat sher ki tere 'sauda'
yun ba-wahm-o-guman padti hai

nahin 'isa' tu par sukhan se tere
tan-e-be-jaan mein jaan padti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close