main ek pal ki tha khushbu kidhar nikal aaya chala main mujh ko hawa ka safar nikal aaya na khinchni thi tumhein sath-e-ab ki chadar kabhi ka ghat mein baitha bhanwar nikal aaya barahnagi ko tamasha bhi dardnak mila badan ke rang jab utre khandar nikal aaya wo ek abr to bijli se raat bhar ladta hawa ke miyan se khanjar magar nikal aaya sukut-e-ab se dar kar jo mari chikh us ne to ek kata hua dariya se sar nikal aaya shikast o rekht ke hathon ne kuchh diya to sahi gira makan to gudiya ka ghar nikal aaya