rakhna hai to phulon ko tu rakh le nigahon mein khushbu to musafir hai kho jaegi rahon mein kyun meri mohabbat se barham ho zamin walo ek aur gunah rakh lo duniya ke gunahon mein kaifiyat-e-mai dil ka darman na hui lekin rangin to rahi duniya kuchh der nigahon mein kanton se guzar jaana dushwar nahin lekin kante hi nahin yaro kaliyan bhi hain rahon mein parda ho to parda ho is parde ko kya kahiye chhupte hain nigahon se rahte hain nigahon mein yaran-e-rah-e-ghurbat kya ho gae kya kahiye kuchh so gae manzil par kuchh kho gae rahon mein guzri hui sadiyon ko aaghaz-e-safar samjho mazi abhi kam-sin hai farda ki nigahon mein rangin hai 'shamim' ab tak pairahan-e-jaan apna hum raat guzar aae kis khwab ki banhon mein