jab nigah-e-talab mo'atabar ho gai manzil-e-shauq dushwar-tar ho gai saat-e-gham bhi kya mukhtasar ho gai teri yaad aai thi ki sahar ho gai har haqiqat khud apni khabar ho gai bidat-e-rang sarf-e-nazar ho gai raat mahfil mein wo be-naqab aae the aur hum ne ye samjha sahar ho gai apne pindar ki lash dhote rahe zindagi apni is mein basar ho gai aaine se palatti rahi har kiran har nazar apni hi parda-dar ho gai koi ilzam jalwon pe aaya nahin bebasi aankh ki mushtahar ho gai wo jo aae to sailab-e-nur aa gaya raushni khud hi sadd-e-nazar ho gai chaarasazi na ki haif nazron hi ne hum ne samjha dua be-asar ho gai hae phir teri baaton mein dil aa gaya phir fusun-saz teri nazar ho gai apne ijz-e-nazar ka bharam khul gaya be-hijabi teri dida-war ho gai 'tarzi' qadmon ke badle jabinen milen na-rasi qismat-e-sag-e-dar ho gai