mohabbat naghma bhi hai saz bhi hai shikast-e-saz ki aawaz bhi hai hai niyyat hi mein dozakh aur jannat yahi dam-soz bhi dam-saz bhi hai na toden mera saz-e-dil na toden ki is mein aap ki aawaz bhi hai mohabbat yun to hai ek lafz-e-sada jo samjho to fasana-saz bhi hai qafas parwaz-e-dushman to hai lekin qafas ek dawat-e-parwaz bhi hai yahi gul hai jo taswir-e-khamoshi shikast-e-ghuncha ki aawaz bhi hai nahin zanjir-e-pa hi ye tasawwur jo bandh jae par-e-parwaz bhi hai main tera raaz kholun bhi to kyun kar ki tera raaz mera raaz bhi hai ye duniya hai jo khwab-e-naz 'rana' yahi tabir-e-khwab-e-naz bhi hai