kabhi aaine sa bhi sochna mujhe aa gaya

kabhi aaine sa bhi sochna mujhe aa gaya
mera dil ke bich hi tutna mujhe aa gaya

teri pahli did ke sath hi wo fusun bhi tha
tujhe dekh kar tujhe dekhna mujhe aa gaya

koi gahre nil sa sehr hai teri aankh mein
ye wo jhil hai jahan dubna mujhe aa gaya

mujhe kya jo ho koi lai mein sher mein rang mein
mera dukh ye hai use dhundna mujhe aa gaya

ki ada-e-yar pe munhasir meri chaal thi
kahin jitna kahin haarna mujhe aa gaya

jahan fart-e-masti mein kaj-qadam the saman-baran
koi gir raha tha to thamna mujhe aa gaya

bade kaam ki thi jo guftugu rahi ru-ba-ru
tu na jaan, par tujhe jaanna mujhe aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close