kabhi haqiqat ke aaine mein kabhi libas-e-majaz mein hai

kabhi haqiqat ke aaine mein kabhi libas-e-majaz mein hai
hazar-ha shakl tere jalwon ki dida-e-imtiyaz mein hai

teri mohabbat ke daere ne jo had bana di hai bandagi ki
wo khatt-e-taqdir ban ke raushan meri jabin-e-niyaz mein hai

hazaron aaine apne hathon bana bana ke hain tod dale
magar na ab tak miti wo hairat jo chashm-e-aina-saz mein hai

jo baat kahni na thi wo kah di hansi hansi mein kali kali ne
magar samajhte hain ahl-e-gulshan ki raaz gulshan ka raaz mein hai

abhi to us sang-e-astan ka nishan tak bhi nazar na aaya
abhi se kaisi tadap ye paida meri jabin-e-niyaz mein hai

anokhe mazmun hain pech-o-kham ke nirale unwan shikan shikan ke
azal se afsana-e-mohabbat kisi ki zulf-e-daraaz mein hai

mere takhayyul ko ras kya aae hind ka khar-zar 'muslim'
nasheman is tair-e-khush-ilhan ka gulsitan-e-hijaz mein he


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close