soz bhi saz bhi har naghma-sarai teri

soz bhi saz bhi har naghma-sarai teri
zarre zarre pe jahan ke hai khudai teri

mera ehsas to chhu bhi na saka aks tera
main ne lafzon se hi taswir banai teri

raushni teri hi rahti hai nabard-e-bina
di hai kanon ko bhi aawaz sunai teri

hont milte hain to bas teri inayat ke sabab
kaise alfaz karen shukr-adai teri

meri tangi meri aasudgi sab teri ata
mujh ko makhluq mein hasil hai gadai teri

us ke qadmon se lipat jati hai manzil aakar
jis ko mil jae agar rahnumai teri

ek taraf meri dua ek taraf bab-e-'asar'
donon dete rahe honton se duhai teri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close