kya kisi lamha-e-rafta ne sataya hai tujhe in dinon main ne pareshan sa paya hai tujhe bahr-e-shadabi-e-jazbaat ki ai mauj-e-rawan kaun is dasht-e-bala-khez mein laya hai tujhe teri tanwir salamat magar ai mahr-e-mubin ghar ki diwar pe yun kis ne sajaya hai tujhe shikwa-e-talkhi-e-haalat baja hai lekin is pe rota hun ki main ne bhi rulaya hai tujhe gah pahna hai tujhe khilat-e-zarrin ki tarah gah paiwand ke manind chhupaya hai tujhe tu kabhi mujh se rahi misl-e-saba daman-kash aur kabhi apne hi bistar pe sulaya hai tujhe meri aashufta-mizaji mein nahin koi kalam ruth ke sare zamane se manaya hai tujhe