nahaq o haq ka unhen khauf-o-khatar kuchh bhi nahin be-khabar hain wo zamane ki khabar kuchh bhi nahin dhum hi dhum thi madfan ki magar kuchh bhi nahin khak is ghar mein basar hogi ye ghar kuchh bhi nahin hae afsos hui kaun si sohbat barkhast shab ko mearaj mein the waqt-e-sahar kuchh bhi nahin kah rahi hai ye mare dil se mohabbat us ki hun to iksir magar mujh mein asar kuchh bhi nahin aa rahi hai ye sada gor ke sannate se main wo aalam hun jahan sham-o-sahar kuchh bhi nahin is nazakat se to main kahe ko bismil hunga tum chhuri pherte ho mujh ko khabar kuchh bhi nahin hatif-e-ishq to kahta hai idhar sab kuchh hai aalam-e-yas ye kahta hai udhar kuchh bhi nahin aankh phir jati hai mashuqon ki mayuson se gham-zada kuchh nahin hasrat ki nazar kuchh bhi nahin turbat-e-qais se kahti hai lipat kar laila hum tadapte hain pade tum ko khabar kuchh bhi nahin manzil-e-gor mein kya jaaniye kya guzregi taza warid hain abhi hum ko khabar kuchh bhi nahin lan-tarani ki jo takid hai ai dil ye khula bab-e-didar mein manzur-e-nazar kuchh bhi nahin khwab dekha tha ki tha wasl ki shab ka saman jashn tha raat ko hangam-e-sahar kuchh bhi nahin us ko gahri ise ye ochhi chhuri wah ai yar zakhm-e-dil ghaw hua zakhm-e-jigar kuchh bhi nahin rishta-e-jaan se bhi nazuk hai wo bariki mein gul ki rag phir hai gudaz us ki kamar kuchh bhi nahin qabr mein huron ke aane ka uthaen kya lutf dida o jism o dil o jaan o jigar kuchh bhi nahin ras aa jaegi jis ko wo use chahenge phir mohabbat mein sabhi kuchh hai agar kuchh bhi nahin mutmain hun rah-e-isyan mein teri rahmat se wo musafir hun ki tashwish-e-safar kuchh bhi nahin ai 'sharaf' hai gul-e-maqsud ke har-su bauchhaar wah ai khubi-e-qismat ki idhar kuchh bhi nahin