ye kis ne dasht-e-bala se mujhe pukara hai abhi abhi to mujhe zindagi ne haara hai tasawwur-e-rukh-e-jaanan kiye hue hum log hamari aankh mein aansu nahin sitara hai koi charagh na jugnu na aaina na kitab ye kaisa khwab meri aankh par utara hai bas ek umid hai jis ne sambhaal rakkha hai bas ek nam hai jis ka hamein sahaara hai abhi main aaya-e-tathir padhne wala hun ye khamushi kisi ilham ka ishaara hai