jab samundar ki us ne khwahish ki meri aankhon ne khub barish ki aap hain kis liye pasheman se main ne zakhmon ki kab numaish ki ek ek harf par dhari ungli kya meri aap ne sataish ki ek makan wo jise na dekha tha umr-bhar us mein hi rihaish ki kaise murda-zamir logon mein zinda rahne ki hum ne koshish ki hum ne to kuchh nahin kiya lekin aap ne kya kiya jo sazish ki khud ko jab chaak par dhara 'iqrar' phir zamanon ke gird gardish ki