jab talak zikr aap ka na kiya hum ne khud se bhi rabta na kiya tut jaane ke khauf se hum ne aaine ka bhi samna na kiya ek qayamat bapa rahi dil mein lekin un se koi gila na kiya hijr-name pe dastakhat to kiye aur bichhadne ka faisla na kiya bol sakte the hum bhi lekin hum chup rahe un ko be-maza na kiya us taraf khamushi kuchh aisi thi hum ne izhaar-e-muddaa na kiya kam hi damon kahin se mil jata khud hi dil ka kabhi pata na kiya kaise 'iqrar' hain sukhan-war wo harf ko surat-e-diya na kiya