sarguzisht apni raqam karte rahe aap kahte aur hum karte rahe bazm-e-saqi se uthane ki hamein koshishen duniya ke gham karte rahe subh-o-sham-o-roz-o-shab allah se teri baaten ai sanam karte rahe zindagi bharti rahi jam-e-sifal hum use pi pi ke kam karte rahe dalte aansu kisi par kya asar beshtar daman hi nam karte rahe be-bas-o-majbur kar deta hai ishq hum gawara har sitam karte rahe hans ke tarkhana kabhi bhule nahin wo hamesha ye karam karte rahe