kisi ki aankhon se apna chehra nikalna hai nadi ke pani se khud ko pyasa nikalna hai use kaho tum ki dor rishton ki sidhi rakkhe mohabbaton ki zamin ka raqba nikalna hai jo mustahiq ho hamare dil ka qarib aae qaza se pahle badan ka sadqa nikalna hai hato ki raste nikalne hain pahadiyon se ruko ki pairon se ek kanta nikalna hai tamam rahon ki donon jaanib bichha do patthar musafiron ko safar ka ghussa nikalna hai isi gharaz se main khud ko aksar tatolta hun kahan pe kis ka hai kitna hissa nikalna hai wo ek zamane ke ba'd dekhega ro padega mujhe purana bas ek kurta nikalna hai kisi ki cigarette usi ki sazish mein jal rahi hai nae makan se purana huqqa nikalna hai