kahiye achchha jo kisi se to bura lagta hai kalma-e-khair namak-pash zara lagta hai main nahin jaanta koi yahan kya lagta hai jaane kyon shahr tera shahr mera lagta hai kusht-o-khun aisa ki shayad na hua hoga kabhi dushman insan ka insan hua lagta hai kaun kis se hai fuzun khalq mein kis tarah khule har hunar-mand yahan khud se siwa lagta hai hosh-mand aise kahan ke hain ye arbab-e-nashat ji ka janjal sab un ka hi diya lagta hai tab-e-goyai rahe ya na rahe aaj ke baad sun lo do bol ki kuchh dard thama lagta hai aisa bikhra hun ki mushkil hai simatna mera mere dil mein koi kanta sa chubha lagta hai jis ka ji chahe wo mahfil ki sataish kar le ek parda sa nigahon pe pada lagta hai gardish-e-pa hai ki badhne nahin deti aage tera 'hamid' teri galiyon ka gada lagta hai