jab se mein ne dekha hai ek khushnuma chehra tab se hai nigahon mein us ka chand sa chehra surat aur sirat mein imtiyaz mushkil hai hai har ek chehre par ek dusra chehra ek aur do hi mein zehn tha paraganda aa gaya kahan se ye ek tisra chehra ba-wafa samajhta tha jis ko bewafa nikla roz wo badalta hai ek na ek naya chehra tha naqab mein ab tak be-hijab jab dekha fash ho gaya aakhir us ka bad-numa chehra dur se samajhte the jis ko chand ka tukda jab qarib se dekha tha wo khurdura chehra meri chashm-e-baatin se kuchh nahin hai poshida hai zaban-e-dil 'barqi' aaina-numa chehra