tir-e-qatil ka ye ehsan rah gaya ja-e-dil sina mein paikan rah gaya ki zara dast-e-junun ne kotahi chaak aa kar ta-ba-daman rah gaya do qadam chal kar tere wahshi ke sath jada-e-rah-e-bayaban rah gaya qatl ho kar bhi subukdoshi kahan tegh ka gardan pe ehsan rah gaya hum to pahunche bazm-e-jaanan tak magar shikwa-e-bedad-e-darban rah gaya kya qayamat hai ki ku-e-yar se hum to nikle aur arman rah gaya dusron par kya khule raaz-e-dahan jabki khud sane se pinhan rah gaya jazba-e-dil ka zara dekho asar tir nikla bhi to paikan rah gaya jama-e-hasti bhi ab tan par nahin dekh wahshi tera uryan rah gaya zoaf marne bhi nahin deta mujhe main ajal se bhi to pinhan rah gaya ai junun tujh se samajh lunga agar ek bhi tar-e-gareban rah gaya husn chamka yar ka ab aaftab ek charagh-e-zer-e-daman rah gaya log pahunche manzil-e-maqsud tak main jaras ki tarah nalan rah gaya yaad rakhna dosto is bazm mein aa ke 'shibli' bhi ghazal-khwan rah gaya