na us ko dekha na tab-o-tawan rawana kiye tamam-umr kati mitti mein thikana kiye na us se wasl kiya aur na ha-o-hu hi ki zamana guzra koi kar-e-arifana kiye dilon ko zakhm diye aur azab aankhon ko jo kaam us ne kiye sare munsifana kiye main apne-ap ko pahchanta nahin hun abhi main aankh mund ke leta hun ye bahana kiye ye aisa daw hai jab phenko ulta padta hai samete baithe ho kya ishq ko khazana kiye ho us se wasl ke talib bhari sabha mein 'tur' kahan ye hosh-o-hawas aap ne rawana kiye