jin ke nasib mein aab-o-dana kam kam hota hai mail un ki samt zamana kam kam hota hai raste hi mein ho jati hain baaten bas do-chaar ab to un ke ghar bhi jaana kam kam hota hai mushkil hi se kar leti hai duniya use qubul aisi haqiqat jis mein fasana kam kam hota hai kabhi jo baaten ishq ke sal-o-sin ka hasil thin ab un baaton ka yaad aana kam kam hota hai rind sabhi saghar par saghar chhalkate jate hain kyun labrez mera paimana kam kam hota hai baat pate ki kar jata hai yun to kabhi kabhi hosh mein lekin ye diwana kam kam hota hai kitni muqaddas hogi 'akbar' us bachche ki pyas jis ki ek thokar se rawana zamzam hota hai