khafa se lag rahe ho kuchh hua kya tumhein bhi hai kisi se kuchh gila kya jhuki nazren ab uthti hi nahin hain koi unwan dil mein hai chhupa kya nigah-e-khishmagin lab pe tabassum niyaz-o-naz ka hai silsila kya nigahon ka ye shaista takallum khamoshi ko mili tarz-e-ada kya usi ka zikr hai sab ki zaban par wo aisa ho gaya hai dilruba kya ba-juz teri talab ke is jahan mein hamari aarzu kya muddaa kya jidhar dekho wahi jalwa-numa hai yahi shayad hai irfan-e-khuda kya umandte hi chale aate hain aansu kisi ne pursish-e-gham kar diya kya dam-e-rukhsat hai aao pas baitho duaen do hamein tum ab dawa kya 'tarab' sahab kahan bazm-e-sukhan mein ghazal kahna tumhein bhi aa gaya kya