jahan sinon mein dil shanon pe sar aabaad hote hain wahi do-chaar to basti mein ghar aabaad hote hain bahut sabit-qadam niklen gae waqton ki tahziben ki ab un ke hawalon se khandar aabaad hote hain buzurgon ko tabarruk ki tarah rakkho makanon mein balaen rad kiye jaane se ghar aabaad hote hain zaban-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain jo patthar ki silon ko taj-mahalon mein badal dalen yahan kachche gharon mein wo hunar aabaad hote hain mere andoh mein muzmar hai us ki sarkhushi aise dubo kar kashtiyan jaise bhanwar aabaad hote hain meri tamir behtar shakl mein hone ko hai 'anjum' ki jangal saf hone se nagar aabaad hote hain