jab tak gham-e-ulfat ka unsur na mila hoga insan ke pahlu mein dil ban na saka hoga main aur tera sauda tu aur ye istighna shayad mujhe fitrat ne majbur kiya hoga ek daera zarron ka khurshid-e-tariqat tha shayad wo tumhaara hi naqsh-e-kaf-e-pa hoga tum dard ke khaliq ho main dard ka banda hun jab nam liya hoga dil tham liya hoga 'simab' jab is dil mein taswir nahin un ki ye aaina dhundla hai ye aaina kya hoga