murda ragon mein KHun ki garmi kahan se aai

murda ragon mein khun ki garmi kahan se aai
thi shakh sabz phul mein surkhi kahan se aai

ye umr-e-raegan ye safar khwab mein kata
phir ye thakan ye panw pe mitti kahan se aai

diwar khun-chakan na mera zakhm-e-sar hai surkh
ye maslahat bata dil-e-wahshi kahan se aai

main sulh jo hua ghalat ilzam se khafa
ab puchhte ho baat mein talkhi kahan se aai

ilzam tum pe hai lab-e-goya gurez ka
bebak ho to phir ye kharabi kahan se aai

mujh jaisa kam-sukhan bhi hai is bar sakht-go
is sust aab-ju mein rawani kahan se aai

khilta hai mausamon ke taghayyur ka mujh se rang
aakhir mere khamir ki mitti kahan se aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close