kam se kam duniya se itna mera rishta ho jae koi mera bhi bura chahne wala ho jae isi majburi mein ye bhid ikattha hai yahan jo tere sath nahin aae wo tanha ho jae shukr us ka ada karne ka khayal aae kise abr jab itna ghana ho ki andhera ho jae han nahin chahiye us darja mohabbat teri ki mera sach bhi tere jhut ka hissa ho jae band aankhon ne sarabon se bachaya hai mujhe aankh wala ho to is khel mein andha ho jae main bhi qatra hun teri baat samajh sakta hun ye ki mit jaane ke dar se koi dariya ho jae bas isi baat pe aainon se bigdi meri chahta tha mera apna koi chehra ho jae bazm-e-yaran mein yahi rang to dete hain maza koi roe to hansi se koi dohra ho jae