meri nazar se jo nazren bachae baithe hain khabar bhi hai unhen kya gul khilae baithe hain hazar bar jale jis se baal-o-par apne usi charagh se hum lau lagae baithe hain jo shakh shokhi-e-barq-e-tapan se hai manus usi pe aaj nasheman banae baithe hain phir us ke wada-e-farda ka ho yaqin kaise hazar bar jise aazmae baithe hain shab-e-firaq ki hum tirgi se ghabra kar charagh-e-zakhm-e-gham-e-dil jalae baithe hain use hijab kahun ya kahun pashemani mere mazar pe wo sar jhukae baithe hain hum ek qatra-e-qalb-e-hazin mein ai 'iqbaal' gham-e-hayat ke tufan chhupae baithe hain