jab tak ki teri galiyan khane ke nahin hum uth kar tere darwaze se jaane ke nahin hum jitna ki ye duniya mein hamein khwar rakhe hai itne to gunahgar zamane ke nahin hum ho jawenge pamal guzar jawenge ji se par sar tere qadmon se uthane ke nahin hum aane do use jis ke liye chaak kiya hai naseh se gareban ko silane ke nahin hum jab tak ki na chhidkega gulab aap wo aa kar is ghash se kabhi hosh mein aane ke nahin hum jawenge saba bagh mein gul-gasht-e-chaman ko par teri tarah khak udane ke nahin hum ai 'mushafi' khush hone ka nahin hum se wo jab tak sar kat ke nazr us ko bhijaane ke nahin hum