jamal-e-yar ke dam se ye moajiza hua tha har ek samt thi raushan diya bujha hua tha wo yani jismon mein ruhon ke muntaqil ki ghadi hamare waste hairat ka dar khula hua tha kahan the ahl-e-khirad us ghadi bataen mujhe jab aasman zamin ke liye jhuka hua tha barahna khwahishen jismon pe odh kar hum log samajhte the ki muqaddar mein ye likha hua tha zaruraton ne muqayyad hi kar liya warna huzur-e-ishq mein sar main ne kham kiya hua tha mera mizaj to sailab ki tarah tha magar ye aur baat tere samne ruka hua tha tujhe khabar nahin tere libas mein 'iqrar' ghurur-e-zat ka paiwand bhi laga hua tha