jo khat hai shikasta hai jo aks hai tuta hai ya husn tera jhuta ya aaina jhuta hai hum shukr karen kis ka shaki hon to kis ke hun rahzan ne bhi luta hai rahbar ne bhi luta hai yaad aaya in aankhon ka paiman-e-wafa jab bhi saghar mere hathon se be-sakhta chhuta hai har chehre pe likkha hai ek qissa-e-mazlumi bedard zamane ne har shakhs ko luta hai manzil ki tamanna mein sar-garm-e-safar hain sab kaun us ke liye roe jo rah mein chhuta hai allah re 'hafiz' us ka ye zauq-e-khud-arai jab zulf sanwari hai ek aaina tuta hai