nazar mein rang samae hue usi ke hain ye sare phul ugae hue usi ke hain usi ke lutf se basti nihaal hai sari tamam ped lagae hue usi ke hain usi ke husn ki parchhaiyan hain patton par zamin ne bojh uthae hue usi ke hain wo jis ke qurb se harf-e-visal hai raushan mere charag jalae hue usi ke hain ye barishen bhi usi ki hain meri aaankhon mein ye abr zehn pe chhae hue usi ke hain ye aagahi jo hamein yun hamare haal ki hai ye sab kamal sikhae hue usi ke hain ye tod-phod ghazal mein usi ke nam ki hai ye sare shor machae hue usi ke hain hamare lahje mein jo ek mithas hai baqi hamein ye zahr pilae hue usi ke hain ba-juz jamal hamein aur kya dikhai de nazar pe pahre bithae hue usi ke hain usi jabin se nikalta hai 'qais' chand mera ye aasaman sajae hue usi ke hain